CHITIKA

GOOGLE ANALYTICS

LINK REFERAL

free web site traffic and promotion

Advertisement

Sunday, June 20, 2010

KUCHH KAMI HAI ZINDAGI MEIN..

kuchh kami hai zindagi mein
jo tu nahi hai zindagi mein.

saw dafa milna bichhadna
chaar din ki zindagi mein.

ye ishq na hota agar to
kya bura tha zindagi mein.

tujh se bichhde tab ye jana
kya mila tha zindagi mein.

tu de ijazat, gar khudara
kar du' ada haq zindagi mein.

ham se puchho ham ne jana
kya sabaq tha zindagi mein.

ab dua du' tujh ko main bas
khush rahe tu zindagi mein.

“Saif” tum bhi khoob guzre,
kar ke sab kuchh zindagi mein.

DARD SAMBHALA NAHI GAYA

Kuchh yun hua ki mujh se khafa ho gaya habib
Kuchh yun hua ki mujh se manaya nahi gaya.

Kuchh yun hua ki ankh se aansu nikal pade ,
Kuchh yun hua ki dard sambhala nahi gaya.

Kuchh yun hua ki mar mite jeene ki aas mein,
Kuchh yun hua ki maut ko mara nahi gaya.

Kuchh yun hua ki zakhm bhi rista raha magar,
Kuchh yun hua ki tera nam mitaya nahi gaya.

Kuchh yun hua ki tujh ko bhulane ka gham hua,
Kuchh yun hua ki is gham ko bhulaya nahi gaya.

Kuchh yun hua ki bhulna chaha bahot unhein,
Kuchh yun hua ki saif unko bhulaya nahi gaya.

MAHAZ INSAAN HAIN

Nazre’ mili’, batei’ badhi’ , ab aur bhi arman hai’,
khwahishe’ badhti hi jati hai’, mahaz insan hai’.

Ab ye mushkil hai badi, is ki kya pahchan hai?
nasamajh hain, ya ki phir vo jaan ke anjaan hai’?

dekhne mein bhole bhale, par vo beimaan hai’,
dil chura ke chal diye hai’, naam ke jo 'khan' hai’.

dekhiye ab meri jaanib un ka kya farmaan hai,
jaan bakshenge meri ya, qatl ka ailaan hai.

"saif" unki shokh nazro’ ko zara phir yaad kar,
puri karni hai ghazal , jis ka vo unvan hai’.

MERE SAATH CHALNA TU CHHOD DE

Mere hamsafar meri baat sun,
Mere saath chalna tu chhod de.
Meri raah hai ye bahot kathin,
Mere saath chalna tu chhod de.

Meri zindagi mein hai rang kam ,
Mere saath hain dardo-alam,
Yahan paega tu ranjo-gham,
Mere saath chalna tu chhod de.

Tu agar hai subha to hun main shab,
Jo milenge ham to milenge kab,
Yahi ilteja hai meri bas ab,
Mere saath chalna tu chhod de.

Chahe dil mein tu mera naam le ,
Par zuban se kuchh na tu kaam le,
Main jo kah raha hun vo maan le,
Mere saath chalna tu chhod de.

Bhale lakh mujh se tu ho khafa,
Kahe barha mujhe bevafa,
Hai tera bhala jo karun jafa,
Mere saath chalna tu chhod de.

Mujhe hosla de ki sah sakun,
Tere bin main zinda bhi rah sakun,
De ye haq mujhe ki main kah sakun,
Mere saath chalna tu chhod de.

Tu karega mujh se jo itna pyar ,
To rahega khud pen a ikhteyar,
Yahi saif kahta hai baar baar
Mere saath chalna tu chhod de.

Muskurana aap ka

Uf ye qatil muskurana aap ka,
Dil laga kar dil churana aap ka,

Muh bana ke roothna wo aap ka,
Muskura ke maan jana aap ka,


likhte likhte sochte hain kya likhen,
humse dil ka sach chhupana aap ka,


sochna ke kah den apne dil ki baat,
khat wo likh likh ke mitana aap ka,


kamsini me kam hai thokron ka dar,
josh mein sab maan jana aap ka,

Saif hum kis kis tarah unse bachen,
Dil hai mera aur nishana aap ka.

Aadmi ab to aadmi bhi nahi

Ab koi ummid e roshni bhi nahi,
hum nahi tum nahi zindagi bhi nahi,

Un pe sab kuchh luta ke baitha hun,
wo hain gar, to kuchh kami bhi nahi,


Aadmi aadmi se darta hai,
aadmi ab to aadmi bhi nahi,


ek jua aur khel kar dekh 'Saif',
nakaam bhi raha to khoega kuchh nahi.